| Dil haar kar dekho |
Dard ka ehsas janna hai to pyar
kar ke dekho
Apni aankhon main kisi ko utar kar dekho
Chot un ko lage gi aansoo tumhein aa jayein ge
Ye ehsas janna ho to dil haar kar dekho |
| Marham lagane wale hi
zakham de jate hai |
Paas aa kar sabhi door chale jate
hain
Hum akele they akele hi reh jate hain
Dil ka dard kis ko dikhayein
Marham lagane wale hi zakham de jate hai |
| Zindagi kharab
kar dali hum ne |
Dekh kar phool ki dali hum ne
Teri tasweer bana li hum ne
Ye samjh kar ke meri zindagi tum ho
Zindagi kharab kar dali hum ne |
| Meri zindagi main kuch
raha nahin |
Dil main khuch bhi raha nahin dard
ke siva
Aankhon main khuch raha nahin aansoo ke siva
Ae mere dost mujhe chor ke mat jana
Meri zindagi main kuch raha nahin teri dosti ke siva |
| Udaas meri qabar se jaraha
hai koyi |
Mout ke bad yaad aaraha hai koyi
Mitti meri qabar se utha raha koyi
Ae khuda do pal ki mohlat aur dede
Udaas meri qabar se jaraha hai koyi |
| Mujhe fanah karde |
Aye khuda aaj yeh faisla karde
Use mera ya mujhe uska karde
Bahut dukh sahe hain maine
Koi khushi ab to mere muqaddar kerde
Bahut mushkil rehta hai usse door rehna
Judai ke is safar ko kam karde
Jitna door chala gaya hai woh mujhse
Use utna hi mere kareeb karde
Nahi likha agar naseeb main uska naam
Khatma zindagi aur mujhe fanah karde |
| Rulakar chale gaye |
Sapno ki tarah aa kar chale gaye
Apno ko bhula kar chale gaye
Kis baat ki saza di aap ne humein
Pehle hasaya phir rulakar chale gaye |
| Teri tasweer ban gayi |
Aankhoun per aansoo ki lakeer ban
gayi
Kabhi socha na tha aisi taqdeer ban gayi
Hum ne to pheri thi yunhi ret per ungliyan
Gor se dekha to teri tasweer ban gayi |
| Buss tum ko hi paati hoon |
Wafaa ko aazmana chahti hoon
Tumhe main bhool jana chahti hoon
Par mujhe batao main kya karoon
Tumko main bhool nahi pati hoon
Aisa tum ne kya jadoo kya hai mujh pe
Jahan bhi jaoon…Buss tum ko hi paati hoon |
| Tabhi to suraj mein aag
hai |
Kabhi to ki hogi suraj ne chand se
mohabbat
Is liye to chand mein daag hai
Mumkin hai, ki hogi chand ne suraj se bewafayi
Tabhi to suraj mein aag hai |