| Sirf diya hamara woh yaar
nahi |
Maana ki aaj hamare saath koi
dildaar nai,
Lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahi,
Kismat ne sab kuch diya hamein sirf diya hamara woh yaar nahi |
| Umeed ki thi maine
khushiyan ki |
Umeed ki thi maine khushiyan ki
Ab toh woh kashtiyan bhi doob chuki hai
Har koi lagne laga hai paraya
Mujhse juda hochuka mera hi saaya |
| Kisi ko mat
lao dil ke itne kareeb |
Raste par mat baitho hawa tang
karegi,
Gujare hue lamhon ki saja tang karegi,
Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb,
Uske jane par uski har ek ada tang karegi.. |
| Use aaj khone ka gum kyon
hai |
Dil gumsum, Zubaan Khamosh,
Aankhein aaj num kyon hai?
Jo kabhi apna hua hi nahin
Use aaj khone ka gum kyon hai |
| Hogaya kitna paraya apna
hi dil |
Hansi ke peeche hazaaron aansoo
chhupate chale
Dil main ghum ka dariya sambhaalte huey
Na koi raasta… Na koi manzil
Hogaya kitna paraya apna hi dil |
| Kuch ankhon mein bhi
sailaab hote hain |
Ishq bhi kuch adaab hote hain
Jaagti ankhon mein bhi hkwaab hote hein
Har koye roye ye zaroori nahi
Kuch ankhon mein bhi sailaab hote hain |
| Abhi se yaad karna chhod
diya |
Itna jaldi daaman chod diya,
Itna chaldi vaada tod diya,
Abhi to zindagi ka sansein hai baaki,
Aur aapne abhi se YAAD karna chhod diya |
| Darte hai hum ab khwaabon
se |
Darte hai hum ab khwaabon se
Kahin phirse umeed na laga bhete apno se
Ab toh tanhayi hi apni mehfil hai
Ye soch ke har pal ko jiye jaa rahe hai |
| Un ko hum se mohabbat
nahin |
Un ko hum se mohabbat nahin
Ye hum ne tab jaana
Jab un ki mahabbat ne
Kar diya hum ko deewana |
| Wah kya gazal likh di |
Kagaz pe humne zindagi likh di,
ashkon se seench har khushi likh di,
dard jab humne ubhara lafzo pe,
logo ne kaha wah kya gazal likh di |