| Khushion ki jagah nahin |
Aap aaye zindagi mein humare
farishta bankar,
Khushiyan bhi hazar di hai aapne…
Achanak kya baat hogayi,
kyun aap aur hum dur hogaye?
Shayad hamare naseeb mein khushion ki jagah nahin |
| Bas itna hi tha sath aapka
mera |
Har din woh aapki meri mulaqat,
Har roz hasna ruthna aapka,
Gaye woh din milne ke aapko,
Gaye woh din manane hasane k aapko,
Bas itna hi tha sath aapka mera,
Yahi soch ke haste apni kismat par |
| Is zindagi ne
diya hai hume hazar dukh |
Is zindagi ne diya hai hume hazar
dukh
Pyar jab jab kiya pyar ne dhoka diya hazar baar
Aaj bhi dil dhadakta hai humara
Dar lagta us hawa k jhonka se jo apne sath khushian lati hai |
| Woh nazar se utna hi dur
hai |
Yeh meri talash ka jurm hai,
Ya meri wafa ka kasoor,
Jo dil ka jetne kareeb hai,
Woh nazar se utna hi dur hai |
| Bina kafan ke jala deti
hain |
Mat karo in hasino se pyar, ye
mitti mein mila deti hain,
Ye itni bedard hoti hain ke bina kafan ke jala deti hain |
| Bewafa sanam se to
cigarette achhi |
Bewafa sanam se to cigarette achhi,
Dil jalati hai magar hothon se to lagati hai |
| Hamne to kinare se dosti
kar li |
Kabhi jis dil mein naam hamara
dhadakta tha,
Jin aankhon mein kabhi hamare hi sapne hote the,
Jin hothon par har waqt hamara hi naam hota tha,
Aaj wahi dil, wahi aankhe, wahi sab begane se lagte hain.
Shayad wus dil ki kasti ko naya manjhi mil gaya,
Apna kya, hamne to kinare se dosti kar li. |